tumhaari yaad ka ek daera banati hun
tumhārī yaad kā ik dā.era banātī huuñ
phir is meñ rahne kī koī jagah banātī huuñ
vo apne gird uThātā hai roz dīvāreñ
maiñ us kī samt nayā rāsta banātī huuñ
zamāna baḌh ke vahī peḌ kaaT detā hai
maiñ jis kī shāḳh pe ik ghoñsla banātī huuñ
vo ghol jaatā hai nafrat kī talḳhiyāñ aa kar
maiñ chāhatoñ kā nayā zā.iqa banātī huuñ
ḳhayāl-o-harf taġhazzul meñ Dhaal kar 'bilqīs'
maiñ apne dard sabhī ġhazliya banātī huuñ
tumhaari yaad ka ek daera banati hun
phir is mein rahne ki koi jagah banati hun
wo apne gird uThata hai roz diwaren
main us ki samt naya rasta banati hun
zamana baDh ke wahi peD kaT deta hai
main jis ki shaKH pe ek ghonsla banati hun
wo ghol jata hai nafrat ki talKHiyan aa kar
main chahaton ka naya zaiqa banati hun
KHayal-o-harf taghazzul mein Dhaal kar 'bilqis'
main apne dard sabhi ghazliya banati hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.