tumhaari yaad ka ek silsila rahi KHushbu
tumhārī yaad kā ik silsila rahī ḳhushbū
bahār ban ke mirā rāsta rahī ḳhushbū
gale lagāyā mujhe maañ ne alvidā.a kahte
tamām umr mirī rahnumā rahī ḳhushbū
ajiib rishta hai bārish kā kachchī miTTī se
falak se arz talak rābta rahī ḳhushbū
hasīñ gulāb bhī ab mo'atabar nahīñ Thahre
aur us kī bātoñ se bargashta ho ga.ī ḳhushbū
kiye haiñ nazr bahut phuul is mohabbat meñ
dayār-e-ishq meñ tab dil-rubā rahī ḳhushbū
kisī ne haath milāyā thā 'sīmā' chāhat se
hatheliyoñ meñ hamārī sadā rahī ḳhushbū
tumhaari yaad ka ek silsila rahi KHushbu
bahaar ban ke mera rasta rahi KHushbu
gale lagaya mujhe man ne alwidaa kahte
tamam umr meri rahnuma rahi KHushbu
ajib rishta hai barish ka kachchi miTTi se
falak se arz talak rabta rahi KHushbu
hasin gulab bhi ab mo'atabar nahin Thahre
aur us ki baaton se bargashta ho gai KHushbu
kiye hain nazr bahut phul is mohabbat mein
dayar-e-ishq mein tab dil-ruba rahi KHushbu
kisi ne hath milaya tha 'sima' chahat se
hatheliyon mein hamari sada rahi KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.