tumhaari yaad ki cigarette jala ke roi thi
tumhārī yaad kī cigarette jalā ke roī thī
dhueñ ke siine pe sar rakh ke raat soī thī
tamām chāñd sitāre mirī talāsh meñ the
maiñ kis ḳhayāl kī duniyā meñ raat khoī thī
use ujaaḌ diyā āñsuoñ ke mausam ne
ḳhushī kī fasl jo āñkhoñ meñ maiñ ne boī thī
bahut dinoñ meñ jo khud par nazar paḌī to khulā
maiñ apne jaisī nahīñ thī maiñ aur koī thī
batā rahe the mujhe merī aañkh ke aañsū
vo koī qīmtī shai thī jo maiñ ne khoī thī
tumhaari yaad ki cigarette jala ke roi thi
dhuen ke sine pe sar rakh ke raat soi thi
tamam chand sitare meri talash mein the
main kis KHayal ki duniya mein raat khoi thi
use ujaD diya aansuon ke mausam ne
KHushi ki fasl jo aankhon mein main ne boi thi
bahut dinon mein jo khud par nazar paDi to khula
main apne jaisi nahin thi main aur koi thi
bata rahe the mujhe meri aankh ke aansu
wo koi qimti shai thi jo main ne khoi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.