tumhaari yaad ki jab dhup aane lagti thi
tumhārī yaad kī jab dhuup aane lagtī thī
maiñ apnī car ke shīshe chaḌhāne lagtī thī
kahīñ kahīñ thī añdheroñ meñ ek aisī ghuTan
havā charāġh se pīchhā chhuḌāne lagtī thī
us ek ḳhvāb se hotī thiiñ vahshateñ mujh ko
maiñ gahrī niiñd se ḳhud ko jagāne lagtī thī
vo merā jhūTh jab aatā thā sāmne mere
har ek sach se maiñ āñkheñ churāne lagtī thī
ajiib chiḌh sī thī shauq-e-musavvirī se mujhe
banā banā ke lakīreñ miTāne lagtī thī
yahī to aib thā bas ratjagoñ kī duniyā meñ
maiñ ḳhvāb soch luuñ to niiñd aane lagtī thī
kabhī kabhī maiñ tujhe sochtī thī is had tak
tire ḳhayāl kī cigarette jalāne lagtī thī
tumhaari yaad ki jab dhup aane lagti thi
main apni car ke shishe chaDhane lagti thi
kahin kahin thi andheron mein ek aisi ghuTan
hawa charagh se pichha chhuDane lagti thi
us ek KHwab se hoti thin wahshaten mujh ko
main gahri nind se KHud ko jagane lagti thi
wo mera jhuTh jab aata tha samne mere
har ek sach se main aankhen churane lagti thi
ajib chiDh si thi shauq-e-musawwiri se mujhe
bana bana ke lakiren miTane lagti thi
yahi to aib tha bas ratjagon ki duniya mein
main KHwab soch lun to nind aane lagti thi
kabhi kabhi main tujhe sochti thi is had tak
tere KHayal ki cigarette jalane lagti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.