tumhaari yaad ko dil se kabhi bhula na sake
tumhārī yaad ko dil se kabhī bhulā na sake
ye thā vo naqsh-e-mohabbat jise miTā na sake
safīna sāhil-e-ummīd par lagā na sake
muhīt-e-ġham ke thapeḌoñ se bach ke jā na sake
jigar ke daaġh se ab tak dhuāñ sā uThtā hai
charāġh tum ne jalāyā magar bujhā na sake
rahūñgā yuuñ tire dar par misāl-e-naqsh-e-qadam
ki tū bhī chāhe uThānā to phir uThā na sake
uThā liyā dil-e-nādāñ ne muskurā ke use
vo baar jinn-o-malak bhī jise uThā na sake
sunāte āñkhoñ hī āñkhoñ meñ haal kuchh lekin
kisī kī tez-nigāhī kī taab lā na sake
bajā-e-ishq vo de dard-e-ishq ai yā-rab
ki chāra-sāz bhī jis dard ko miTā na sake
charāġh jo kiye tū ne jahān meñ raushan
zamāne vaale use phir kabhī bujhā na sake
samajh lo hogī na takmīl-e-ishq ai 'raushan'
jo apne dil ko harīf-e-sitam banā na sake
tumhaari yaad ko dil se kabhi bhula na sake
ye tha wo naqsh-e-mohabbat jise miTa na sake
safina sahil-e-ummid par laga na sake
muhit-e-gham ke thapeDon se bach ke ja na sake
jigar ke dagh se ab tak dhuan sa uThta hai
charagh tum ne jalaya magar bujha na sake
rahunga yun tere dar par misal-e-naqsh-e-qadam
ki tu bhi chahe uThana to phir uTha na sake
uTha liya dil-e-nadan ne muskura ke use
wo bar jinn-o-malak bhi jise uTha na sake
sunate aankhon hi aankhon mein haal kuchh lekin
kisi ki tez-nigahi ki tab la na sake
baja-e-ishq wo de dard-e-ishq ai ya-rab
ki chaara-saz bhi jis dard ko miTa na sake
charagh jo kiye tu ne jahan mein raushan
zamane wale use phir kabhi bujha na sake
samajh lo hogi na takmil-e-ishq ai 'raushan'
jo apne dil ko harif-e-sitam bana na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.