tumhaari yaad mein aise bhi din guzare hain
tumhārī yaad meñ aise bhī din guzāre haiñ
ki baar baar tumheñ bas tumheñ pukāre haiñ
parā.e ḳhair parā.e haiñ un kā kyā shikva
hamāre apne hī dushman bane hamāre haiñ
hamārā jo bhī karo ab tumhārī marzī hai
ki ham hamāre nahīñ ab to ham tumhāre haiñ
tumhāre hijr meñ har raat yuuñ guzartī hai
ki ham akele haiñ chanda hai aur sitāre haiñ
ye jañg hai ki mohabbat hai kyā hai kyā mālūm
sabhī se jiit ga.e ham tumhīñ se haare haiñ
tumhaari yaad mein aise bhi din guzare hain
ki bar bar tumhein bas tumhein pukare hain
parae KHair parae hain un ka kya shikwa
hamare apne hi dushman bane hamare hain
hamara jo bhi karo ab tumhaari marzi hai
ki hum hamare nahin ab to hum tumhaare hain
tumhaare hijr mein har raat yun guzarti hai
ki hum akele hain chanda hai aur sitare hain
ye jang hai ki mohabbat hai kya hai kya malum
sabhi se jit gae hum tumhin se haare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.