tumhaari yaad mein Dube kahan kahan se gae
tumhārī yaad meñ Duube kahāñ kahāñ se ga.e
ham apne aap se bichhḌe ki sab jahāñ se ga.e
na.ī zamīn kī ḳhvāhish meñ ham to nikle the
zamīn kaisī yahāñ ham to āsmāñ se ga.e
zamāne bhar ko sameTā thā apne dāman meñ
palaT ke dekhā to ḳhud apne hī makāñ se ga.e
ye khoTe sikke haiñ alfāz is sadī kī suno
ye in kā daur nahīñ ye to is jahāñ se ga.e
'sahar' fuzūl sī ḳhvāhish hai zindagī jiinā
mare to log na jāneñge kis jahāñ se ga.e
tumhaari yaad mein Dube kahan kahan se gae
hum apne aap se bichhDe ki sab jahan se gae
nai zamin ki KHwahish mein hum to nikle the
zamin kaisi yahan hum to aasman se gae
zamane bhar ko sameTa tha apne daman mein
palaT ke dekha to KHud apne hi makan se gae
ye khoTe sikke hain alfaz is sadi ki suno
ye in ka daur nahin ye to is jahan se gae
'sahar' fuzul si KHwahish hai zindagi jina
mare to log na jaanenge kis jahan se gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.