tumhaari yaad mein kuchh is tarah thin nam aankhen
tumhārī yaad meñ kuchh is tarah thiiñ nam āñkheñ
tamām shab nahīñ kar paa.e band ham āñkheñ
hai intizār kisī kā is ehtimām ke saath
bichhā ke rakkhī haiñ ham ne qadam qadam āñkheñ
hasīñ hai yuuñ to bilā-shub.h aap kā paikar
hasīn-tar hai magar aap kī sanam āñkheñ
dukhāo dil ko magar ye bhī rakho pesh-e-nazar
sukūñ tumhārā uḌā deñgī merī nam āñkheñ
kashish ho itnī ki jī chāhe Duub jaane ko
dikhā.ī detī haiñ duniyā meñ aisī kam āñkheñ
tumhārī yaad se āḳhir shikast khā hī ga.iiñ
chhalak ke toḌ ga.iiñ zabt kā bharam āñkheñ
ajiib baat hai rahtī haiñ din meñ ḳhushk magar
chhalakne lagtī haiñ rātoñ meñ dam-ba-dam āñkheñ
ga.ī hai jab se tire saath raushnī in kī
barā.e naam haiñ chehre pe ai sanam āñkheñ
udaas udaas sā lagtā hai ek ik manzar
'shakīl' jab se huiiñ āshnā-e-ġham āñkheñ
tumhaari yaad mein kuchh is tarah thin nam aankhen
tamam shab nahin kar pae band hum aankhen
hai intizar kisi ka is ehtimam ke sath
bichha ke rakkhi hain hum ne qadam qadam aankhen
hasin hai yun to bila-shubh aap ka paikar
hasin-tar hai magar aap ki sanam aankhen
dukhao dil ko magar ye bhi rakho pesh-e-nazar
sukun tumhaara uDa dengi meri nam aankhen
kashish ho itni ki ji chahe Dub jaane ko
dikhai deti hain duniya mein aisi kam aankhen
tumhaari yaad se aaKHir shikast kha hi gain
chhalak ke toD gain zabt ka bharam aankhen
ajib baat hai rahti hain din mein KHushk magar
chhalakne lagti hain raaton mein dam-ba-dam aankhen
gai hai jab se tere sath raushni in ki
barae nam hain chehre pe ai sanam aankhen
udas udas sa lagta hai ek ek manzar
'shakil' jab se huin aashna-e-gham aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.