Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad mere dil mein jab kabhi aai

Mohammad Moosa

tumhaari yaad mere dil mein jab kabhi aai

Mohammad Moosa

MORE BYMohammad Moosa

    tumhārī yaad mire dil meñ jab kabhī aa.ī

    gumāñ huā ki añdhere meñ raushnī aa.ī

    jahān-e-dil meñ usī din se inqalāb aaya

    mizāj-e-husn meñ jis din se barhamī aa.ī

    jo tum ga.e to mujhe zulmatoñ ne gher liyā

    na āftāb niklā na chāñdnī aa.ī

    na multafit hue terī nazar ke maare hue

    sañvar sañvar ke ka.ī baar zindagī aa.ī

    chaman meñ chaar taraf zulmatoñ ke Dere the

    jalā hamārā nasheman to raushnī aa.ī

    mire fasāna-e-ġham par mirī tabāhī par

    vo ḳhush raheñ jinheñ be-sāḳhta hañsī aa.ī

    ajab muamma hai 'mūsā' tazād-e-ālam-e-ishq

    zamāna rone lagā aur mujhe hañsī aa.ī

    tumhaari yaad mere dil mein jab kabhi aai

    guman hua ki andhere mein raushni aai

    jahan-e-dil mein usi din se inqalab aaya

    mizaj-e-husn mein jis din se barhami aai

    jo tum gae to mujhe zulmaton ne gher liya

    na aaftab hi nikla na chandni aai

    na multafit hue teri nazar ke mare hue

    sanwar sanwar ke kai bar zindagi aai

    chaman mein chaar taraf zulmaton ke Dere the

    jala hamara nasheman to raushni aai

    mere fasana-e-gham par meri tabahi par

    wo KHush rahen jinhen be-saKHta hansi aai

    ajab muamma hai 'musa' tazad-e-alam-e-ishq

    zamana rone laga aur mujhe hansi aai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now