tumhaari yaad pali ja rahi hai
tumhārī yaad paalī jā rahī hai
mohabbat kal pe Taalī jā rahī hai
dikhā kar ḳhvāb ġham ke fā.edoñ kā
ḳhushī dil se nikālī jā rahī hai
ham is ko ishq kā ab naam deñge
ġhalat-fahmī jo paalī jā rahī hai
hameñ ab haar kā bhī dukh nahīñ hai
so terī jiit ḳhālī jā rahī hai
jahāñ se ḳhvāb paidā ho rahe the
vahīñ par ḳhaak Daalī jā rahī hai
badaltī hai vahī ik baat jag ko
jo phir se kal pe Taalī jā rahī hai
phir ik muskān se Dar lag rahā hai
phir ik ummīd paalī jā rahī hai
tumhaari yaad pali ja rahi hai
mohabbat kal pe Tali ja rahi hai
dikha kar KHwab gham ke faedon ka
KHushi dil se nikali ja rahi hai
hum is ko ishq ka ab nam denge
ghalat-fahmi jo pali ja rahi hai
hamein ab haar ka bhi dukh nahin hai
so teri jit KHali ja rahi hai
jahan se KHwab paida ho rahe the
wahin par KHak Dali ja rahi hai
badalti hai wahi ek baat jag ko
jo phir se kal pe Tali ja rahi hai
phir ek muskan se Dar lag raha hai
phir ek ummid pali ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.