tumhaari yaad se itna to faeda hoga
tumhārī yaad se itnā to fā.eda hogā
hamārā zaḳhm-e-jigar aur bhī harā hogā
hamāre aur tumhāre hī darmiyāñ ik din
kise ḳhabar thī ki sadiyoñ kā fāsla hogā
añdherī raat meñ gar raushnī nazar aa.e
ye jaan lo ki hamārā hī dil jalā hogā
har ek chehra hai filhāl jaanā pahchānā
har ek chehra magar kal nayā nayā hogā
bahut se ḳhvāboñ meñ ik ye bhī ḳhvāb hai apnā
hamārā jiine kā andāz hī judā hogā
azīzo aaj kī sohbat ko āḳhirī samjho
tumhāre saath na kal bazm meñ 'ziyā' hogā
tumhaari yaad se itna to faeda hoga
hamara zaKHm-e-jigar aur bhi hara hoga
hamare aur tumhaare hi darmiyan ek din
kise KHabar thi ki sadiyon ka fasla hoga
andheri raat mein gar raushni nazar aae
ye jaan lo ki hamara hi dil jala hoga
har ek chehra hai filhaal jaana pahchana
har ek chehra magar kal naya naya hoga
bahut se KHwabon mein ek ye bhi KHwab hai apna
hamara jine ka andaz hi juda hoga
azizo aaj ki sohbat ko aaKHiri samjho
tumhaare sath na kal bazm mein 'ziya' hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.