tumhaari yaad tumhaara KHayal kafi hai
tumhārī yaad tumhārā ḳhayāl kaafī hai
sukūn-e-dil ke liye aur sab izāfī hai
ab is se tark-e-ta.alluq ke ba.ad kyā milnā
ye jurm vo hai jo nā-qābil-e-talāfi hai
visāl-e-yār kī hasrat nikāl dī dil se
sunā hai maiñ ki ye ishq ke munāfī hai
vo bevafā mujhe kahtā hai aur maiñ us ko
ye mas.ala bhī mire beach iḳhtilāfī hai
bajā ki maiñ huuñ sazā-vār sab kī nazroñ meñ
par un ke dil meñ to ik gosha-e-muāfī hai
qasam to khaa.ī hai 'rizvān' us ne milne kī
yaqīñ ho kyā ki ye lahja bhī inhirāfī hai
tumhaari yaad tumhaara KHayal kafi hai
sukun-e-dil ke liye aur sab izafi hai
ab is se tark-e-talluq ke baad kya milna
ye jurm wo hai jo na-qabil-e-talafi hai
visal-e-yar ki hasrat nikal di dil se
suna hai main ki ye ishq ke munafi hai
wo bewafa mujhe kahta hai aur main us ko
ye masala bhi mere beach iKHtilafi hai
baja ki main hun saza-war sab ki nazron mein
par un ke dil mein to ek gosha-e-muafi hai
qasam to khai hai 'rizwan' us ne milne ki
yaqin ho kya ki ye lahja bhi inhirafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.