tumhaari yaad yun ehsas-e-tanhai baDhati hai
tumhārī yaad yuuñ ehsās-e-tanhā.ī baḌhātī hai
ki jaise qīmateñ chīzoñ kī mahñgā.ī baḌhātī hai
nazar aatī hai duniyā ḳhūbsūrat dekh kar tum ko
tumhārī diid in āñkhoñ kī bīnā.ī baḌhātī hai
kisī kī āñkhoñ meñ ġharqāb ho kar ham ne ye jaanā
nadī kī qadr-o-qīmat us kī gahrā.ī baḌhātī hai
agar dil ho kushāda to ḳhushī rahtī hai chehre par
gharoñ kī raunaqeñ jis tarah añgnā.ī baḌhātī hai
mohabbat meñ izāfe se miyāñ hushiyār hī rahnā
ye aisī nek-nāmī hai jo rusvā.ī baḌhātī hai
qayāmat hai nahīñ kuchh dekhtā apne sivā koī
ye duniyā kis liye phir bazm-ārā.ī baḌhātī hai
mulāqātoñ se koī 'badr' hai gumnām sā lekin
mirī gosha-nashīnī hī shanāsā.ī baḌhātī hai
tumhaari yaad yun ehsas-e-tanhai baDhati hai
ki jaise qimaten chizon ki mahngai baDhati hai
nazar aati hai duniya KHubsurat dekh kar tum ko
tumhaari did in aankhon ki binai baDhati hai
kisi ki aankhon mein gharqab ho kar hum ne ye jaana
nadi ki qadr-o-qimat us ki gahrai baDhati hai
agar dil ho kushada to KHushi rahti hai chehre par
gharon ki raunaqen jis tarah angnai baDhati hai
mohabbat mein izafe se miyan hushiyar hi rahna
ye aisi nek-nami hai jo ruswai baDhati hai
qayamat hai nahin kuchh dekhta apne siwa koi
ye duniya kis liye phir bazm-arai baDhati hai
mulaqaton se koi 'badr' hai gumnam sa lekin
meri gosha-nashini hi shanasai baDhati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.