tumhaari yaadon se nim-shab ko mahak uTha hai gharib-KHana
tumhaari yaadon se nim-shab ko mahak uTha hai gharib-KHana
Shabbir Shahid
MORE BYShabbir Shahid
tumhārī yādoñ se nīm-shab ko mahak uThā hai ġharīb-ḳhāna
ki raat sotī hai us ke pahlū meñ jāgtā hai ġharīb-ḳhāna
vo shaḳhs apnā mahal banā kar ye 'ājizī se batā rahā thā
girā ke buḌhiyā kī jhoñpḌī ko banā liyā hai ġharīb-ḳhāna
mohabbatoñ ke safīr nāsir ab aao she'roñ ke piir nāsir
udaas chaukhaT bhī muntazir hai pukārtā hai ġharīb-ḳhāna
tumhāre qadmoñ se us ke zarre bhī chāñd ban kar chamak uTheñge
kabhī to aao ki rāste meñ ġharīb kā hai ġharīb-ḳhāna
uThā ke dīvār is ke āñgan meñ pyaar hissoñ meñ baañT Daalā
ye bhā.iyoñ kī hī kashmakash thī ki ro rahā hai ġharīb-ḳhāna
kisī kī yādeñ mire ta'āqub meñ jā-ba-jā haiñ janāb-e-'shāhid'
udāsiyāñ to nasīb meñ haiñ qafas hai yā hai ġharīb-ḳhāna
tumhaari yaadon se nim-shab ko mahak uTha hai gharib-KHana
ki raat soti hai us ke pahlu mein jagta hai gharib-KHana
wo shaKHs apna mahal bana kar ye 'ajizi se bata raha tha
gira ke buDhiya ki jhonpDi ko bana liya hai gharib-KHana
mohabbaton ke safir nasir ab aao she'ron ke pir nasir
udas chaukhaT bhi muntazir hai pukarta hai gharib-KHana
tumhaare qadmon se us ke zarre bhi chand ban kar chamak uThenge
kabhi to aao ki raste mein gharib ka hai gharib-KHana
uTha ke diwar is ke aangan mein pyar hisson mein banT Dala
ye bhaiyon ki hi kashmakash thi ki ro raha hai gharib-KHana
kisi ki yaaden mere ta'aqub mein ja-ba-ja hain janab-e-'shahid'
udasiyan to nasib mein hain qafas hai ya hai gharib-KHana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.