tumhaari zulf ke sae mein raat Thahri hai
tumhārī zulf ke saa.e meñ raat Thahrī hai
ki rang-o-nūr liye kā.enāt Thahrī hai
na ab junūñ kī tamanna na hai ḳhirad kī talab
ye kis maqām pe aa kar hayāt Thahrī hai
na pūchh kaise guzārī hai zindagī ham ne
qadam qadam pe alamnāk raat Thahrī hai
jahāñ meñ jab bhī nazar ko kahīñ sukūñ na milā
umīd-gāh-e-nazar terī zaat Thahrī hai
bañdhe haiñ peT pe patthar magar ye shaan tirī
jahāñ bhī tū ne kahā kā.enāt Thahrī hai
tire tufail meñ ye bhī jahāñ ne dekhā hai
ka.ī baras ke liye ek raat Thahrī hai
na jaane kaun sī ham se ḳhatā huī 'aḳhtar'
hamāre qatl kī har samt baat Thahrī hai
tumhaari zulf ke sae mein raat Thahri hai
ki rang-o-nur liye kaenat Thahri hai
na ab junun ki tamanna na hai KHirad ki talab
ye kis maqam pe aa kar hayat Thahri hai
na puchh kaise guzari hai zindagi hum ne
qadam qadam pe alamnak raat Thahri hai
jahan mein jab bhi nazar ko kahin sukun na mila
umid-gah-e-nazar teri zat Thahri hai
bandhe hain peT pe patthar magar ye shan teri
jahan bhi tu ne kaha kaenat Thahri hai
tere tufail mein ye bhi jahan ne dekha hai
kai baras ke liye ek raat Thahri hai
na jaane kaun si hum se KHata hui 'aKHtar'
hamare qatl ki har samt baat Thahri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.