tumhein aansu bahane ko bhi mil jaen kai kandhe
tumheñ aañsū bahāne ko bhī mil jaa.eñ ka.ī kandhe
magar mujh ko aziyyat meñ pareshāñ kaun dekhegā
tumhīñ jo us kī ḳhātir jāgte baiThe rahe shab bhar
jo ab so jaao to sub.h-e-daraḳhshāñ kaun dekhegā
maiñ bhāgā to chalā aa.uuñ tumhārī ik nidā sun kar
sar-e-vaqt-e-junūñ inkār-e-darbāñ kaun dekhegā
maiñ tere hijr meñ baiThā huā kuchh phuul gin lūñgā
miyān-e-be-dilī rañg-e-gulistāñ kaun dekhegā
tumheñ kyuuñ fikr rahtī hai mire pindār kī jānāñ
tumhāre ruḳh ke aage mujh ko uryāñ kaun dekhegā
tumhein aansu bahane ko bhi mil jaen kai kandhe
magar mujh ko aziyyat mein pareshan kaun dekhega
tumhin jo us ki KHatir jagte baiThe rahe shab bhar
jo ab so jao to subh-e-daraKHshan kaun dekhega
main bhaga to chala aaun tumhaari ek nida sun kar
sar-e-waqt-e-junun inkar-e-darban kaun dekhega
main tere hijr mein baiTha hua kuchh phul gin lunga
miyan-e-be-dili rang-e-gulistan kaun dekhega
tumhein kyun fikr rahti hai mere pindar ki jaanan
tumhaare ruKH ke aage mujh ko uryan kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.