Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein hamare hi doston ki jo saf se imdad mil rahi hai

Shahbaz Nayyar

tumhein hamare hi doston ki jo saf se imdad mil rahi hai

Shahbaz Nayyar

MORE BYShahbaz Nayyar

    tumheñ hamāre dostoñ jo saf se imdād mil rahī hai

    tabhī nishāna ḳhatā nahīñ hai hadaf se imdād mil rahī hai

    tumhārī in jhūTī 'azmatoñ ko haqīqī 'izzat nahīñ milegī

    tumhārī dastār akaḌ ko kalaf se imdād mil rahī hai

    kabhī koī apne narm hāthoñ se mere ashkoñ ko poñchhtā thā

    aur āj-kal ye qamīz ke giile kaf se imdād mil rahī hai

    ham aise sahrā meñ gaane vaale kisī se kyā sur milā sakeñge

    tumhāre naġhmoñ mīThī lai ko to daf se imdād mil rahī hai

    tumhārī ham se zabāñ-darāzī tumhārī ham ko ye tā'na-bāzī

    hamāre dushman ko ye tumhārī taraf se imdād mil rahī hai

    ġhurūr tāqat pe karne vaalo hamārā tum kyā bigāḌ loge

    ham ahl-e-haq haiñ so ham ko 'nayyar' najaf se imdād mil rahī hai

    tumhein hamare hi doston ki jo saf se imdad mil rahi hai

    tabhi nishana KHata nahin hai hadaf se imdad mil rahi hai

    tumhaari in jhuTi 'azmaton ko haqiqi 'izzat nahin milegi

    tumhaari dastar ki akaD ko kalaf se imdad mil rahi hai

    kabhi koi apne narm hathon se mere ashkon ko ponchhta tha

    aur aaj-kal ye qamiz ke gile kaf se imdad mil rahi hai

    hum aise sahra mein gane wale kisi se kya sur mila sakenge

    tumhaare naghmon ki miThi lai ko to daf se imdad mil rahi hai

    tumhaari hum se zaban-daraazi tumhaari hum ko ye ta'na-bazi

    hamare dushman ko ye tumhaari taraf se imdad mil rahi hai

    ghurur taqat pe karne walo hamara tum kya bigaD loge

    hum ahl-e-haq hain so hum ko 'nayyar' najaf se imdad mil rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now