tumhein itna batana chahte hain
tumheñ itnā batānā chāhte haiñ
qasam se muskurānā chāhte haiñ
kaTegī dar-ba-dar ye 'umr kab tak
kahīñ to ab Thikānā chāhte haiñ
shajar mahfūz āñgan kā rakho tum
parinde chahchahānā chāhte haiñ
'adāvat 'umr bhar karte rahe jo
ta'alluq ab nibhānā chāhte haiñ
añdhere kī numā.ish ḳhuub kar ke
charāġhoñ ko jalānā chāhte haiñ
nigāhoñ kī pahuñch se duur ab tak
tumhārī zad meñ aanā chāhte haiñ
guzārā vāh-vāhī se na hogā
zarā daulat kamānā chāhte haiñ
'aqīdat se jhukāyā jā sake sar
'abhay' vo āstāna chāhte haiñ
tumhein itna batana chahte hain
qasam se muskurana chahte hain
kaTegi dar-ba-dar ye 'umr kab tak
kahin to ab Thikana chahte hain
shajar mahfuz aangan ka rakho tum
parinde chahchahana chahte hain
'adawat 'umr bhar karte rahe jo
ta'alluq ab nibhana chahte hain
andhere ki numaish KHub kar ke
charaghon ko jalana chahte hain
nigahon ki pahunch se dur ab tak
tumhaari zad mein aana chahte hain
guzara wah-wahi se na hoga
zara daulat kamana chahte hain
'aqidat se jhukaya ja sake sar
'abhay' wo aastana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.