tumhein jitni mayassar hun usi par iktifa kar lo
tumheñ jitnī mayassar huuñ usī par iktifā kar lo
vagarna chhoḌ jaane kā gavārā faisla kar lo
ye āñkheñ haiñ ye aañsū haiñ ye chehrā hai ye muskāneñ
inheñ begāna kar lo chāhe in ko āshnā kar lo
jahāñ tak bhī mire hamrāh chal sakte ho chal dekho
mohabbat ke liye hamvār koī rāsta kar lo
abhī din Dhal rahā hai raushnī āñkhoñ meñ baaqī hai
hamāre sāmne apnā sarāpā rūnumā kar lo
ye mausam phir na ā.eñge to zardī mustaqil hogī
bahāroñ se lipaT kar zindagānī ko harā kar lo
koī apne liye shāyad ziyāda jī nahīñ saktā
kisī kā āḳhirī paiġhām hai ye rābta kar lo
ta'alluq kī bahālī 'shāziya-akbar' nahīñ mumkin
chalo itnā karo rang-e-tamannā ko nayā kar lo
tumhein jitni mayassar hun usi par iktifa kar lo
wagarna chhoD jaane ka gawara faisla kar lo
ye aankhen hain ye aansu hain ye chehra hai ye muskanen
inhen begana kar lo chahe in ko aashna kar lo
jahan tak bhi mere hamrah chal sakte ho chal dekho
mohabbat ke liye hamwar koi rasta kar lo
abhi din Dhal raha hai raushni aankhon mein baqi hai
hamare samne apna sarapa runuma kar lo
ye mausam phir na aaenge to zardi mustaqil hogi
bahaaron se lipaT kar zindagani ko hara kar lo
koi apne liye shayad ziyaada ji nahin sakta
kisi ka aaKHiri paigham hai ye rabta kar lo
ta'alluq ki bahaali 'shaziya-akbar' nahin mumkin
chalo itna karo rang-e-tamanna ko naya kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.