tumhein jo ras na aai jafa to kya hoga
tumheñ jo raas na aa.ī jafā to kyā hogā
tumheñ satā.egī merī vafā to kyā hogā
ye maanā kar liyā tauba to tum ne piine se
kahīñ jo uTh ga.ī kaalī ghaTā to kyā hogā
tujhe chaman se bahut pyaar hai magar ai dost
chaman meñ bhī tirā dil bhar gayā to kyā hogā
nafas nafas hai garāñ ab to zindagī kā aah
mujhe jo aur bhī jiinā paḌā to kyā hogā
jise sune hue 'tishna' zamāna biit gayā
kahīñ vo sāz-e-tarab phir chhiḌā to kyā hogā
tumhein jo ras na aai jafa to kya hoga
tumhein sataegi meri wafa to kya hoga
ye mana kar liya tauba to tum ne pine se
kahin jo uTh gai kali ghaTa to kya hoga
tujhe chaman se bahut pyar hai magar ai dost
chaman mein bhi tera dil bhar gaya to kya hoga
nafas nafas hai garan ab to zindagi ka aah
mujhe jo aur bhi jina paDa to kya hoga
jise sune hue 'tishna' zamana bit gaya
kahin wo saz-e-tarab phir chhiDa to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.