tumhein KHwab mein phir se aana paDega
tumheñ ḳhvāb meñ phir se aanā paḌegā
na.e pyaar ko bhuul jaanā paḌegā
faqat chāñdnī hī qayāmat karegī
añdheroñ ko aañsū bahāna paḌegā
mujhe tum kabhī bhī bhulā na sakogī
mujhī ko tumheñ ab bhulānā paḌegā
agar chāhte ho falak pe chamaknā
to hastī ko apnī miTānā paḌegā
tumheñ bhuul jā.ūñ ye ho na sakegā
dil hī ko phir apne jalānā paḌegā
tumhein KHwab mein phir se aana paDega
nae pyar ko bhul jaana paDega
faqat chandni hi qayamat karegi
andheron ko aansu bahana paDega
mujhe tum kabhi bhi bhula na sakogi
mujhi ko tumhein ab bhulana paDega
agar chahte ho falak pe chamakna
to hasti ko apni miTana paDega
tumhein bhul jaun ye ho na sakega
dil hi ko phir apne jalana paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.