tumhein mahki hui dilkash fazaen yaad karti hain
tumheñ mahkī huī dilkash fazā.eñ yaad kartī haiñ
sahar kī ye tarab-afzā havā.eñ yaad kartī haiñ
ye aa.heñ yaad kartī haiñ ye aañsū yaad karte haiñ
tumheñ thā naaz jin par vo vafā.eñ yaad kartī haiñ
nashāt-e-zindagī baḳhshī tumhārī jin jafāoñ ne
tumheñ ek ek kar ke vo jafā.eñ yaad kartī haiñ
hasīñ lamhāt guzre the kabhī jin ke kināroñ par
unhīñ chashmoñ kī ye shīrīñ sadā.eñ yaad kartī haiñ
urūs-e-husn-e-fitrat kī adā.eñ tum ko pyārī thiiñ
vahī pyārī vahī rangīñ adā.eñ yaad kartī haiñ
tumhīñ se kaif-o-naġhma thā navāsanjān-e-gulshan meñ
navāsanjān-e-gulshan kī navā.eñ yaad kartī haiñ
nigāheñ ban ke jo tum par kabhī qurbān hotī thiiñ
tumheñ 'asmā' ke dil kī vo du'ā.eñ yaad kartī haiñ
tumhein mahki hui dilkash fazaen yaad karti hain
sahar ki ye tarab-afza hawaen yaad karti hain
ye aahen yaad karti hain ye aansu yaad karte hain
tumhein tha naz jin par wo wafaen yaad karti hain
nashat-e-zindagi baKHshi tumhaari jin jafaon ne
tumhein ek ek kar ke wo jafaen yaad karti hain
hasin lamhat guzre the kabhi jin ke kinaron par
unhin chashmon ki ye shirin sadaen yaad karti hain
urus-e-husn-e-fitrat ki adaen tum ko pyari thin
wahi pyari wahi rangin adaen yaad karti hain
tumhin se kaif-o-naghma tha nawasanjaan-e-gulshan mein
nawasanjaan-e-gulshan ki nawaen yaad karti hain
nigahen ban ke jo tum par kabhi qurban hoti thin
tumhein 'asma' ke dil ki wo du'aen yaad karti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.