tumhein pane ki KHatir main samundar par aai thi
tumheñ paane kī ḳhātir maiñ samundar paar aa.ī thī
ki jo kuchh paas thā mere vo sab kuchh vaar aa.ī thī
zamāna bhī ġhazab kī chaal mere saath chaltā thā
ajab jīvan kī baazī thī maiñ ḳhud ko haar aa.ī thī
vahāñ par kam se kam terī ziyārat ho hī jaatī thī
maiñ terā shahr yūñhī chhoḌ kar be-kār aa.ī thī
paḌe haiñ aable paañv meñ raste haiñ kaThin kitne
to kyā is dasht-e-furqat meñ maiñ chunne ḳhaar aa.ī thī
nahīñ koī zarūrat ab mirī nīñdoñ se kah denā
kisī ke ḳhvāb kī ḳhātir maiñ āñkheñ vaar aa.ī thī
churā kar le gayā mujh ko yūñhī vo be-dhiyānī meñ
mujhe milne vo aayā thā maiñ jab is baar aa.ī thī
mujhe kab hosh thā dekhūñ uThā.īñ ungliyāñ kis ne
maiñ terī justujū meñ jab sar-e-bāzār aa.ī thī
mohabbat se kisī ne thaam kar gul-dān meñ rakhā
'kañval' ko saath le kar pāniyoñ kī dhaar aa.ī thī
tumhein pane ki KHatir main samundar par aai thi
ki jo kuchh pas tha mere wo sab kuchh war aai thi
zamana bhi ghazab ki chaal mere sath chalta tha
ajab jiwan ki bazi thi main KHud ko haar aai thi
wahan par kam se kam teri ziyarat ho hi jati thi
main tera shahr yunhi chhoD kar be-kar aai thi
paDe hain aable panw mein raste hain kaThin kitne
to kya is dasht-e-furqat mein main chunne KHar aai thi
nahin koi zarurat ab meri nindon se kah dena
kisi ke KHwab ki KHatir main aankhen war aai thi
chura kar le gaya mujh ko yunhi wo be-dhiyani mein
mujhe milne wo aaya tha main jab is bar aai thi
mujhe kab hosh tha dekhun uThain ungliyan kis ne
main teri justuju mein jab sar-e-bazar aai thi
mohabbat se kisi ne tham kar gul-dan mein rakha
'kanwal' ko sath le kar paniyon ki dhaar aai thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.