tumhein ye chand sitare talash karte hain
tumheñ ye chāñd sitāre talāsh karte haiñ
hasīn shab ke nazāre talāsh karte haiñ
tumhāre naġhma-e-dilkash kī guuñj hai ab tak
tumheñ nadī ke kināre talāsh karte haiñ
bichhaḌ ga.e ho jo ai rah-ravān-e-rāh-e-hayāt
tumheñ rafīq tumhāre talāsh karte haiñ
tumheñ nigāh bahar-sū talāsh kartī hai
tasavvurāt hamāre talāsh karte haiñ
tumhāre baa'd jo tanhā haiñ be-kas-o-ġhamgīñ
vo phir tumhāre sahāre talāsh karte haiñ
tumhīñ ko DhūñDne meñ saarī zindagī guzrī
tumhīñ ko ham thake haare talāsh karte haiñ
hasīn yaad ke gul aah ke sharāre haiñ
tumheñ ye gul ye sharāre talāsh karte haiñ
vo lamhe ‘ishrat-e-rafta ke aaj ham 'asmā'
kabhī jo hañs ke guzāre talāsh karte haiñ
tumhein ye chand sitare talash karte hain
hasin shab ke nazare talash karte hain
tumhaare naghma-e-dilkash ki gunj hai ab tak
tumhein nadi ke kinare talash karte hain
bichhaD gae ho jo ai rah-rawan-e-rah-e-hayat
tumhein rafiq tumhaare talash karte hain
tumhein nigah bahar-su talash karti hai
tasawwuraat hamare talash karte hain
tumhaare ba'd jo tanha hain be-kas-o-ghamgin
wo phir tumhaare sahaare talash karte hain
tumhin ko DhunDne mein sari zindagi guzri
tumhin ko hum thake haare talash karte hain
hasin yaad ke gul aah ke sharare hain
tumhein ye gul ye sharare talash karte hain
wo lamhe ‘ishrat-e-rafta ke aaj hum 'asma'
kabhi jo hans ke guzare talash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.