tumhin nahin ho ki jis ke hisse apar dukh hain
tumhīñ nahīñ ho ki jis ke hisse apaar dukh haiñ
hamārī āñkheñ bhī boltī haiñ ki yaar dukh haiñ
samajh rahā hai tū jis ko apnī ḳhushī kī gaThrī
nahīñ haiñ us meñ ḳhushī use tū utaar dukh haiñ
agar tumheñ lag rahā hai ye dukh bas uuprī haiñ
ye haath dekho qatār andar qatār dukh haiñ
kuchh ek hī bas bache haiñ jin ko hai tujh se ummīd
hameñ tū aa kar sambhāl parvardigār dukh haiñ
unheñ chhupā.eñ ki un pe likheñ ki un ko ro.eñ
do-chār hote to bhī sahī thā hazār dukh haiñ
ye jis tarah se havā meñ shāmil hai oxigen
isī tarah se har ik ḳhushī meñ shumār dukh haiñ
maiñ apne jaisoñ ko DhūñDne meñ lagā huā huuñ
tujhe bhī dukh haiñ to saath aa kar pukār dukh haiñ
tumhin nahin ho ki jis ke hisse apar dukh hain
hamari aankhen bhi bolti hain ki yar dukh hain
samajh raha hai tu jis ko apni KHushi ki gaThri
nahin hain us mein KHushi use tu utar dukh hain
agar tumhein lag raha hai ye dukh bas upri hain
ye hath dekho qatar andar qatar dukh hain
kuchh ek hi bas bache hain jin ko hai tujh se ummid
hamein tu aa kar sambhaal parwardigar dukh hain
unhen chhupaen ki un pe likhen ki un ko roen
do-chaar hote to bhi sahi tha hazar dukh hain
ye jis tarah se hawa mein shamil hai oxigen
isi tarah se har ek KHushi mein shumar dukh hain
main apne jaison ko DhunDne mein laga hua hun
tujhe bhi dukh hain to sath aa kar pukar dukh hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.