tumhin pher loge jo humse nigahen
tumhīñ pher loge jo ham se nigāheñ
mileñgī kahāñ ġham-zadoñ ko panāheñ
bashar nāptā hai sitāroñ kī rāheñ
use le na Dūbeñ ye parvāz-gāheñ
talātum se kab Dūbte haiñ safīne
agar Dūbte dil Dubonā na chāheñ
Thahartī haiñ gul par na shams-o-qamar par
na jaane kise DhūñDhtī haiñ nigāheñ
unheñ mil gayā naam dair-o-haram kā
jo insāniyat kī haiñ qurbān-gāheñ
nahīñ koī ummīd ham ko vafā kī
jafā hī sahī aap kuchh to nibāheñ
junūñ hī yahāñ kaam aa.e to aa.e
bahut pur-ḳhatar haiñ mohabbat kī rāheñ
mirī kā.enāt-e-mohabbat hai 'sābir'
yahī chand aañsū yahī chand aaheñ
tumhin pher loge jo hum se nigahen
milengi kahan gham-zadon ko panahen
bashar napta hai sitaron ki rahen
use le na Duben ye parwaz-gahen
talatum se kab Dubte hain safine
agar Dubte dil Dubona na chahen
Thaharti hain gul par na shams-o-qamar par
na jaane kise DhunDhti hain nigahen
unhen mil gaya nam dair-o-haram ka
jo insaniyat ki hain qurban-gahen
nahin koi ummid hum ko wafa ki
jafa hi sahi aap kuchh to nibahen
junun hi yahan kaam aae to aae
bahut pur-KHatar hain mohabbat ki rahen
meri kaenat-e-mohabbat hai 'sabir'
yahi chand aansu yahi chand aahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.