tumhin puchhoge ghabra kar pata jab hum nahin honge
tumhin puchhoge ghabra kar pata jab hum nahin honge
Dr. Fauq Kareemi
MORE BYDr. Fauq Kareemi
tumhīñ pūchhoge ghabrā kar patā jab ham nahīñ hoñge
har ik dar par hameñ doge sadā jab ham nahīñ hoñge
hamāre dam se saaqī azmat-e-paimāna hai baaqī
badal jā.egā nazm-e-mai-kada jab ham nahīñ hoñge
abhī tak badduā dete rahe ho tum hameñ lekin
hamāre haq meñ māñgoge duā jab ham nahīñ hoñge
hamāre dam se hai rasm-e-vafā baaqī zamāne meñ
badal jā.egā andāz-e-vafā jab ham nahīñ hoñge
sitam jitne bhī chāho aaj tum jī khol kar kar lo
karoge kis pe kal jaur-o-jafā jab ham nahīñ hoñge
tumhāre ye hinā.ī haath ho jā.eñge be-masraf
kise dast-e-hinā dikhlāoge jab ham nahīñ hoñge
hamāre dam se sar-tā-pā bane ho dīdanī lekin
nazar aaoge phir tum kyā se kyā jab ham nahīñ hoñge
abhī milte hī nazreñ ham se tum nazreñ churāte ho
tumhīñ DhūñDoge ham ko jā-ba-jā jab ham nahīñ hoñge
hamārī maut kī ai 'fauq' jab un ko ḳhabar hogī
zabāñ pe un kī hogā ai ḳhudā jab ham nahīñ hoñge
tumhin puchhoge ghabra kar pata jab hum nahin honge
har ek dar par hamein doge sada jab hum nahin honge
hamare dam se saqi azmat-e-paimana hai baqi
badal jaega nazm-e-mai-kada jab hum nahin honge
abhi tak baddua dete rahe ho tum hamein lekin
hamare haq mein mangoge dua jab hum nahin honge
hamare dam se hai rasm-e-wafa baqi zamane mein
badal jaega andaz-e-wafa jab hum nahin honge
sitam jitne bhi chaho aaj tum ji khol kar kar lo
karoge kis pe kal jaur-o-jafa jab hum nahin honge
tumhaare ye hinai hath ho jaenge be-masraf
kise dast-e-hina dikhlaoge jab hum nahin honge
hamare dam se sar-ta-pa bane ho didani lekin
nazar aaoge phir tum kya se kya jab hum nahin honge
abhi milte hi nazren hum se tum nazren churaate ho
tumhin DhunDoge hum ko ja-ba-ja jab hum nahin honge
hamari maut ki ai 'fauq' jab un ko KHabar hogi
zaban pe un ki hoga ai KHuda jab hum nahin honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.