tunuk-mizaj hai malhuz yun adab rakhna
tunuk-mizāj hai malhūz yuuñ adab rakhnā
bahut sañbhal ke tum us ke laboñ pe lab rakhnā
navā-e-girya-o-zārī fazā meñ bikhrī hai
ye shaam hai to kahāñ tak lihāz-e-shab rakhnā
alag khaḌī rahī ham se hamārī parchhā.īñ
hamāre kaam na aaya hasab-nasab rakhnā
sadā se bair hai apne saḳhī ko kyā kiije
burā bhī lagtā hai hoñToñ ko be-talab rakhnā
bahaktī raat ke qisse machalte din ke savāl
vo maañg legā kisī din hisāb sab rakhnā
firāsatoñ se 'adāvat hai hoshiyāroñ ko
so pāgaloñ kī tarah se banā ke chhab rakhnā
nasha sharāb nahīñ vo nigāh kartī hai
vo pher legā nigāheñ gilās tab rakhnā
tunuk-mizaj hai malhuz yun adab rakhna
bahut sanbhal ke tum us ke labon pe lab rakhna
nawa-e-girya-o-zari faza mein bikhri hai
ye sham hai to kahan tak lihaz-e-shab rakhna
alag khaDi rahi hum se hamari parchhain
hamare kaam na aaya hasab-nasab rakhna
sada se bair hai apne saKHi ko kya kije
bura bhi lagta hai honTon ko be-talab rakhna
bahakti raat ke qisse machalte din ke sawal
wo mang lega kisi din hisab sab rakhna
firasaton se 'adawat hai hoshiyaron ko
so pagalon ki tarah se bana ke chhab rakhna
nasha sharab nahin wo nigah karti hai
wo pher lega nigahen gilas tab rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.