tu aasman main hun zamin man-digram-tu-digri
tū āsmāñ maiñ huuñ zamīñ man-dīgram-tū-dīgrī
terā mirā rishta nahīñ man-dīgram-tū-dīgrī
tū zinda-o-pā.inda hai maiñ ḳhaak kā huuñ mustahiq
tū lā-makāñ kā hai makīñ man-dīgram-tū-dīgrī
ai merī shāḳh-e-yāsmīñ tujh ko nahīñ mujh par yaqīñ
mujh ko hai bas tujh par yaqīñ man-dīgram-tū-dīgrī
dikhtī hai mujh ko har taraf allāh kī kārīgarī
avval namūna haiñ hamīñ man-dīgram-tū-dīgrī
tū sāmne kuchh aur hai kuchh aur hai tū ba.ad-azāñ
kahnā mujhe hai āḳhirīñ man-dīgram-tū-dīgrī
ham ho ga.e mahlūl ab ik dūsre meñ jān-e-jāñ
tā-kas na goyad ba.ad-azīñ man-dīgram-tū-dīgrī
haiñ raas mujh ko talḳhiyāñ tujh ko haiñ bhātī narmiyāñ
maiñ aur tū yaksāñ nahīñ man-dīgram-tū-dīgrī
tu aasman main hun zamin man-digram-tu-digri
tera mera rishta nahin man-digram-tu-digri
tu zinda-o-painda hai main KHak ka hun mustahiq
tu la-makan ka hai makin man-digram-tu-digri
ai meri shaKH-e-yasmin tujh ko nahin mujh par yaqin
mujh ko hai bas tujh par yaqin man-digram-tu-digri
dikhti hai mujh ko har taraf allah ki karigari
awwal namuna hain hamin man-digram-tu-digri
tu samne kuchh aur hai kuchh aur hai tu baad-azan
kahna mujhe hai aaKHirin man-digram-tu-digri
hum ho gae mahlul ab ek dusre mein jaan-e-jaan
ta-kas na goyad baad-azin man-digram-tu-digri
hain ras mujh ko talKHiyan tujh ko hain bhati narmiyan
main aur tu yaksan nahin man-digram-tu-digri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.