tu abhi tak bhi mujhe KHud se juda jaanta hai
tū abhī tak bhī mujhe ḳhud se judā jāntā hai
maiñ kabhī soch nahīñ saktā ḳhudā jāntā hai
mujh se bai'at kā taqāzā na tavaqqo' rakhnā
merā sar neze pe sajne ko jazā jāntā hai
dost hai vo to samajh jā.egā hājat terī
dost chehre se tire man kī sadā jāntā hai
jāntā hai ki mujhe 'ishq hai sahrāoñ se
vo mohabbat meñ pahāḌoñ kī anā jāntā hai
is se baḌh kar bhī bhalā aur vafā kyā hogī
mujh se baḌh kar vo har ik rasm-e-vafā jāntā hai
kis qadar daan kiyā us ne mujhe āb-e-hayāt
ye to maiñ jāntā yā merā ḳhudā jāntā hai
zulf khole to qayāmat vahīñ barpā kar de
āñkhoñ āñkhoñ meñ vo tūfān uThā jāntā hai
sub.h kī pahlī azānoñ se bhī pahle uTh kar
roz ik raaz vo fitrat se nayā jāntā hai
ruḳh-e-daurāñ pe paḌe parde haTā do yaaro
jaan jā.eñge jo kahte haiñ ki kyā jāntā hai
vo jo har vaqt kahe jaatā hai maiñ jāntā huuñ
vo nahīñ jāntā sūraj ko diyā jāntā hai
husn-e-pur-nūr suḳhan-sāz vo āzād-manash
us kā bartāv magar sharm-o-hayā jāntā hai
maiñ nahīñ jāntā kuchh bhī maiñ yahī jāntā huuñ
aur kyā jānñā ye jaan ke kyā jāntā hai
vo numū-ḳhez bahāroñ meñ palā surḳh gulāb
vo mirī aañkh kī surḳhī ko harā jāntā hai
mere mālik mirā dāman nahīñ rakhnā ḳhālī
mirā beTā mujhe har taur bharā jāntā hai
tu abhi tak bhi mujhe KHud se juda jaanta hai
main kabhi soch nahin sakta KHuda jaanta hai
mujh se bai'at ka taqaza na tawaqqo' rakhna
mera sar neze pe sajne ko jaza jaanta hai
dost hai wo to samajh jaega hajat teri
dost chehre se tere man ki sada jaanta hai
jaanta hai ki mujhe 'ishq hai sahraon se
wo mohabbat mein pahaDon ki ana jaanta hai
is se baDh kar bhi bhala aur wafa kya hogi
mujh se baDh kar wo har ek rasm-e-wafa jaanta hai
kis qadar dan kiya us ne mujhe aab-e-hayat
ye to main jaanta ya mera KHuda jaanta hai
zulf khole to qayamat wahin barpa kar de
aankhon aankhon mein wo tufan uTha jaanta hai
subh ki pahli azanon se bhi pahle uTh kar
roz ek raaz wo fitrat se naya jaanta hai
ruKH-e-dauran pe paDe parde haTa do yaro
jaan jaenge jo kahte hain ki kya jaanta hai
wo jo har waqt kahe jata hai main jaanta hun
wo nahin jaanta suraj ko diya jaanta hai
husn-e-pur-nur suKHan-saz wo aazad-manash
us ka bartaw magar sharm-o-haya jaanta hai
main nahin jaanta kuchh bhi main yahi jaanta hun
aur kya jaanna ye jaan ke kya jaanta hai
wo numu-KHez bahaaron mein pala surKH gulab
wo meri aankh ki surKHi ko hara jaanta hai
mere malik mera daman nahin rakhna KHali
mera beTa mujhe har taur bhara jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.