tu agar aata nahin apne KHayalon ko bhi rok
tū agar aatā nahīñ apne ḳhayāloñ ko bhī rok
bas chuke haiñ jo tasavvur meñ jamāloñ ko bhī rok
yaad aate biite lamhoñ ḳhush-ḳhisāloñ kī bhī rok
raat kī tanhā.iyoñ meñ aahoñ nāloñ ko bhī rok
raqs farmāne lagā hai biphre sāñpoñ kā hujūm
surḳh chehre pe machalte kaale bāloñ ko bhī rok
pahle bhī chashmāb kī jhīloñ meñ ik sailāb hai
āsmāñ par mad-bhare barfāb gāloñ ko bhī rok
ishtiyāq-e-dīd meñ faanī hai sahrāoñ kī ret
rah-navardī meñ ubharte ġham ke chhāloñ ko bhī rok
phir banā.eñge tujhe aġhyār kā daryūza-gar
in riyā-ḳhū ḳhush-nazar mas.hūr chāloñ ko bhī rok
zindagī ke rāstoñ par karte phirte haiñ shikār
nargisī āñkhoñ ke matvāle ġhazāloñ ko bhī rok
sar-kashī meñ jurm-o-istibdād meñ mashġhūl haiñ
dandanāte manchaloñ ko in razāloñ ko bhī rok
jo uḌāte haiñ tamasḳhur diin ke aa.iin par
ābrū-e-dīn kī ḳhātir jiyāloñ ko bhī rok
ik nazar kā umr bhar na de sake hargiz javāb
imtihān-e-ishq meñ uljhe savāloñ ko bhī rok
'ain' kartā hai parastish zaat meñ mastūr tū
pattharoñ kī but-parastī karne vāloñ ko bhī rok
tu agar aata nahin apne KHayalon ko bhi rok
bas chuke hain jo tasawwur mein jamalon ko bhi rok
yaad aate bite lamhon KHush-KHisalon ki bhi rok
raat ki tanhaiyon mein aahon nalon ko bhi rok
raqs farmane laga hai biphre sanpon ka hujum
surKH chehre pe machalte kale baalon ko bhi rok
pahle bhi chashmab ki jhilon mein ek sailab hai
aasman par mad-bhare barfab galon ko bhi rok
ishtiyaq-e-did mein fani hai sahraon ki ret
rah-nawardi mein ubharte gham ke chhaalon ko bhi rok
phir banaenge tujhe aghyar ka daryuza-gar
in riya-KHu KHush-nazar mashur chaalon ko bhi rok
zindagi ke raston par karte phirte hain shikar
nargisi aankhon ke matwale ghazalon ko bhi rok
sar-kashi mein jurm-o-istibdad mein mashghul hain
dandanate manchalon ko in razalon ko bhi rok
jo uDate hain tamasKHur din ke aain par
aabru-e-din ki KHatir jiyalon ko bhi rok
ek nazar ka umr bhar na de sake hargiz jawab
imtihan-e-ishq mein uljhe sawalon ko bhi rok
'ain' karta hai parastish zat mein mastur tu
pattharon ki but-parasti karne walon ko bhi rok
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.