tu agar dekhe sadgi meri
tū agar dekhe sādgī merī
phir tabī.at hai shā.erī merī
dard-o-ġham meñ vafā milā.ī ga.ī
aur taḳhlīq kī ga.ī merī
mujh ko itnā batāo sach sach tum
yaad aatī nahīñ kabhī merī
har añdherā miTā sakūñ maiñ yahāñ
duur tak jaa.e raushnī merī
ab bhī tujh se vafā nibhā.uñgī
ab bhī baaqī hai zindagī merī
kitne din se tirā guzar na huā
kitnī vīrāñ huī galī merī
maiñ bhī shab meñ falak pe hotī huuñ
kaun dekhegā chāñdnī merī
terī sāñsoñ kī ḳhushbuoñ meñ huuñ
tujh ko zāhir na ho kamī merī
phir 'ananyā' tujhe vo yaad aaya
kah rahī āñkhoñ kī namī merī
tu agar dekhe sadgi meri
phir tabiat hai shaeri meri
dard-o-gham mein wafa milai gai
aur taKHliq ki gai meri
mujh ko itna batao sach sach tum
yaad aati nahin kabhi meri
har andhera miTa sakun main yahan
dur tak jae raushni meri
ab bhi tujh se wafa nibhaungi
ab bhi baqi hai zindagi meri
kitne din se tera guzar na hua
kitni viran hui gali meri
main bhi shab mein falak pe hoti hun
kaun dekhega chandni meri
teri sanson ki KHushbuon mein hun
tujh ko zahir na ho kami meri
phir 'ananya' tujhe wo yaad aaya
kah rahi aankhon ki nami meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.