tu agar mujhko hausla deta
tū agar mujh ko hausla detā
ruḳh maiñ tūfān kā ghumā detā
koī aisā kahāñ milā mujh ko
pyaas jo sahrā kī bujhā detā
ishq meñ sab luTā.e baiThā huuñ
mashvara maiñ kisī ko kyā detā
mujh ko roke hai bas anā merī
dard-e-dil varna maiñ sunā detā
bas meñ insān ke nahīñ kuchh bhī
jis ko detā hai sab ḳhudā detā
kaash aa kar koī 'taqī' mujh ko
vaqt par aa.ina dikhā detā
tu agar mujh ko hausla deta
ruKH main tufan ka ghuma deta
koi aisa kahan mila mujh ko
pyas jo sahra ki bujha deta
ishq mein sab luTae baiTha hun
mashwara main kisi ko kya deta
mujh ko roke hai bas ana meri
dard-e-dil warna main suna deta
bas mein insan ke nahin kuchh bhi
jis ko deta hai sab KHuda deta
kash aa kar koi 'taqi' mujh ko
waqt par aaina dikha deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.