tu ang ang mein KHushbu si ban gaya hoga
tū añg añg meñ ḳhushbū sī ban gayā hogā
maiñ sochtā huuñ ki tujh se gurez kyā hogā
tamām raat mire dil se aañch aatī rahī
kahīñ qarīb koī shahr jal rahā hogā
tū mere saath bhī rah kar mire qarīb na thā
ab is se aur fuzūñ fāsla bhī kyā hogā
mujhe ḳhud apnī vafā par bhī e'timād nahīñ
kabhī to tū bhī mirī tarah sochtā hogā
kabhī to sañg-e-malāmat kahīñ se aa.egā
koī to shahr meñ apnā bhī āshnā hogā
zarā sī baat pe kyā dostoñ ke muñh aa.eñ
ġharīb dil thā muravvat meñ jal-bujhā hogā
tu ang ang mein KHushbu si ban gaya hoga
main sochta hun ki tujh se gurez kya hoga
tamam raat mere dil se aanch aati rahi
kahin qarib koi shahr jal raha hoga
tu mere sath bhi rah kar mere qarib na tha
ab is se aur fuzun fasla bhi kya hoga
mujhe KHud apni wafa par bhi e'timad nahin
kabhi to tu bhi meri tarah sochta hoga
kabhi to sang-e-malamat kahin se aaega
koi to shahr mein apna bhi aashna hoga
zara si baat pe kya doston ke munh aaen
gharib dil tha murawwat mein jal-bujha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.