tu apne panw jis se dho chuka tha
tū apne paañv jis se dho chukā thā
vo kuuza qad meñ dariyā ho chukā thā
maiñ ghar lauTā thā kar ke diiñ kī ḳhidmat
mirā bhūkā paḌosī so chukā thā
nahīñ hai ishq merā tere dil meñ
vo daana gum hai jo maiñ bo chukā thā
bichhaḌ kar mere hoñToñ par hañsī thī
tire jaane se pahle ro chukā thā
tavā.if mar ga.ī fāqa-kashī se
nagar saarā namāzī ho chukā thā
tu apne panw jis se dho chuka tha
wo kuza qad mein dariya ho chuka tha
main ghar lauTa tha kar ke din ki KHidmat
mera bhuka paDosi so chuka tha
nahin hai ishq mera tere dil mein
wo dana gum hai jo main bo chuka tha
bichhaD kar mere honTon par hansi thi
tere jaane se pahle ro chuka tha
tawaif mar gai faqa-kashi se
nagar sara namazi ho chuka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.