tu bhairwin mein ye misra zara suna hum ko
tū bhairvīñ meñ ye misrā zarā sunā ham ko
kahīñ se lagtā nahīñ thā vo bevafā ham ko
tumhāre kuchh bhī nahīñ the magar tumhāre saath
kisī ko dekhā to dil se burā lagā ham ko
hisāb kar ke juārī use batā rahe haiñ
ki tere ġham ne ḳhasārā nahīñ diyā ham ko
ham us ke zulm pe ro.e nahīñ magar phir bhī
dilāse detā rahā rāt-bhar ḳhudā ham ko
tu bhairwin mein ye misra zara suna hum ko
kahin se lagta nahin tha wo bewafa hum ko
tumhaare kuchh bhi nahin the magar tumhaare sath
kisi ko dekha to dil se bura laga hum ko
hisab kar ke juari use bata rahe hain
ki tere gham ne KHasara nahin diya hum ko
hum us ke zulm pe roe nahin magar phir bhi
dilase deta raha raat-bhar KHuda hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.