tu bhi apna na hua aur KHuda chhoD diya
tū bhī apnā na huā aur ḳhudā chhoḌ diyā
sochtā huuñ ki tire vāste kyā chhoḌ diyā
terā dar terī galī aur tū chhoḌā na gayā
varna jis jis ko yahāñ tū ne kahā chhoḌ diyā
us sitamgar kī nigāhoñ pe bharosa to nahīñ
tū agar kahtā hai jā maan liyā chhoḌ diyā
saañs taaza ho mirī aur kahīñ habs ghaTe
is liye aaj zarā dil ko khulā chhoḌ diyā
zor baazū se na ban paayā to kahne vo lagā
mas.ala tujh pe mirā maiñ ne ḳhudā chhoḌ diyā
ab ke vahshat meñ pukārūñgā masīhā koī
jo kabhī letā thā maiñ naam tirā chhoḌ diyā
hijr se jaan chhuḌāne kī sa.ī meñ 'shobī'
ek kamra jo thā āseb-zada chhoḌ diyā
tu bhi apna na hua aur KHuda chhoD diya
sochta hun ki tere waste kya chhoD diya
tera dar teri gali aur tu chhoDa na gaya
warna jis jis ko yahan tu ne kaha chhoD diya
us sitamgar ki nigahon pe bharosa to nahin
tu agar kahta hai ja man liya chhoD diya
sans taza ho meri aur kahin habs ghaTe
is liye aaj zara dil ko khula chhoD diya
zor bazu se na ban paya to kahne wo laga
masala tujh pe mera main ne KHuda chhoD diya
ab ke wahshat mein pukarunga masiha koi
jo kabhi leta tha main nam tera chhoD diya
hijr se jaan chhuDane ki sai mein 'shobi'
ek kamra jo tha aaseb-zada chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.