tu bhi hairan-o-pareshan hai thaka hun main bhi
Interesting Fact
Dedicated to Mazhar Imam
tū bhī hairān-o-pareshāñ hai thakā huuñ maiñ bhī
tere hamrāh bahut duur chalā huuñ maiñ bhī
tū bhī us but kī ziyārat kā sharaf hāsil kar
us ke qadmoñ pe ka.ī baar jhukā huuñ maiñ bhī
tū bhī masrūf khilaunoñ meñ hai yādoñ se pare
jī ke bahlāne ko kuchh DhūñD rahā huuñ maiñ bhī
terā hī charchā nahīñ shahr meñ bāzāroñ meñ
kitne aḳhbār-o-rasā.il meñ chhapā huuñ maiñ bhī
log dīvāna agar kahte haiñ to sach hai 'asad'
apne baare meñ yahī soch rahā huuñ maiñ bhī
tu bhi hairan-o-pareshan hai thaka hun main bhi
tere hamrah bahut dur chala hun main bhi
tu bhi us but ki ziyarat ka sharaf hasil kar
us ke qadmon pe kai bar jhuka hun main bhi
tu bhi masruf khilaunon mein hai yaadon se pare
ji ke bahlane ko kuchh DhunD raha hun main bhi
tera hi charcha nahin shahr mein bazaron mein
kitne aKHbar-o-rasail mein chhapa hun main bhi
log diwana agar kahte hain to sach hai 'asad'
apne bare mein yahi soch raha hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.