tu bhi rahi main bhi rahi donon chalne wale hain
tū bhī raahī maiñ bhī raahī donoñ chalne vaale haiñ
tere paañv ke nīche maḳhmal mere paañv meñ chhāle haiñ
le Dūbegī ham donoñ ko ye bechainī betābi
roko apne aap ko roko ham apne ko sañbhāle haiñ
ruup us kā chandan sā mahke bole to sañgīt lage
us kī kyā pūchho ho logo ham jis ke matvāle haiñ
merā us kā pyaar kā naata TuuTā aur na TūTegā
aur haiñ jitne rishte naate sab makḌī ke jaale haiñ
tai karte haiñ apnī manzil bāñhoñ meñ bāñheñ Daale
bādal ke parivār meñ yuuñ to kuchh gore kuchh kaale haiñ
sachchī bāteñ kaun kahegā kis meñ itnī jur.at hai
sab ke paas zabāñ hai lekin sab ke lab par taale haiñ
maiñ to 'shamīm' ik panchhī thā āzād fazā meñ uḌ bhī chukā
log na jaane kis chakkar meñ ab bhī gherā Daale haiñ
tu bhi rahi main bhi rahi donon chalne wale hain
tere panw ke niche maKHmal mere panw mein chhaale hain
le Dubegi hum donon ko ye bechaini betabi
roko apne aap ko roko hum apne ko sanbhaale hain
rup us ka chandan sa mahke bole to sangit lage
us ki kya puchho ho logo hum jis ke matwale hain
mera us ka pyar ka nata TuTa aur na TuTega
aur hain jitne rishte nate sab makDi ke jale hain
tai karte hain apni manzil banhon mein banhen Dale
baadal ke pariwar mein yun to kuchh gore kuchh kale hain
sachchi baaten kaun kahega kis mein itni jurat hai
sab ke pas zaban hai lekin sab ke lab par tale hain
main to 'shamim' ek panchhi tha aazad faza mein uD bhi chuka
log na jaane kis chakkar mein ab bhi ghera Dale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.