tu chand hai to chand-nagar mujhse chhin le
tū chāñd hai to chāñd-nagar mujh se chhīn le
maiñ kyā karūñgā ḳhāk-basar mujh se chhīn le
ab terī be-ruḳhī kā bhī aatā hai yuuñ ḳhayāl
jaise koī matā-e-digar mujh se chhīn le
tū ḳhud hī apnī tarz-e-sitam par nigāh rakh
maiñ kyā kahūñ ye dard-e-jigar mujh se chhīn le
Daste raheñge zehn ko kab tak mushāhidāt
yārab ye imtiyāz-e-nazar mujh se chhīn le
pahchāntī nahīñ hai use jab kisī kī aañkh
be-kār hai nishān-e-hunar mujh se chhīn le
rū-e-sahar tū ḳhair mujhe kyā dikhā.egā
tū ārzū-e-dīd-e-sahar mujh se chhīn le
tu chand hai to chand-nagar mujh se chhin le
main kya karunga KHak-basar mujh se chhin le
ab teri be-ruKHi ka bhi aata hai yun KHayal
jaise koi mata-e-digar mujh se chhin le
tu KHud hi apni tarz-e-sitam par nigah rakh
main kya kahun ye dard-e-jigar mujh se chhin le
Daste rahenge zehn ko kab tak mushahidat
yarab ye imtiyaz-e-nazar mujh se chhin le
pahchanti nahin hai use jab kisi ki aankh
be-kar hai nishan-e-hunar mujh se chhin le
ru-e-sahar tu KHair mujhe kya dikhaega
tu aarzu-e-did-e-sahar mujh se chhin le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.