tu chhoD kar gaya hai mujhe aise haal mein
tū chhoḌ kar gayā hai mujhe aise haal meñ
din raat uljhā rahtā huuñ tere ḳhayāl meñ
ye Thiik baat hai ki maiñ vaisā nahīñ rahā
tū bhī badal gayā hai bahut tiin saal meñ
duniyā meñ aa ke phañs gayā huuñ is tarah se maiñ
machhlī phañsī huī ho koī jaise jaal meñ
lahja hī thoḌā talḳh hai duniyā ke sāmne
vaise to Thīk-Thāk huuñ maiñ bol-chāl meñ
jin ko thā phuul toḌnā vo toḌ liye ga.e
maalī lagā hī rah gayā bas dekh-bhāl meñ
tu chhoD kar gaya hai mujhe aise haal mein
din raat uljha rahta hun tere KHayal mein
ye Thik baat hai ki main waisa nahin raha
tu bhi badal gaya hai bahut tin sal mein
duniya mein aa ke phans gaya hun is tarah se main
machhli phansi hui ho koi jaise jal mein
lahja hi thoDa talKH hai duniya ke samne
waise to Thik-Thak hun main bol-chaal mein
jin ko tha phul toDna wo toD liye gae
mali laga hi rah gaya bas dekh-bhaal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.