tu faqat kahani sun hichkiyon ko bhul ja
tū faqat kahānī sun hichkiyoñ ko bhuul jā
ashk-bār log gin tāliyoñ ko bhuul jā
mausamoñ ne kyā kiyā ye kahānī chhoḌ de
bārishoñ ko bhuul jā pāniyoñ ko bhuul jā
ab zabāñ meñ aa ga.iiñ luknateñ rukāvaTeñ
merī guftugū kī tū narmiyoñ ko bhuul jā
zindagī hai muḳhtasar har 'inād chhoḌ de
ḳhūbiyoñ ko yaad rakh ḳhāmiyoñ ko bhuul jā
ye chaman tirā chaman phuul tere phuul haiñ
ḳhud hī dekh-bhāl kar māliyoñ ko bhuul jā
bhuul jā vo din kī niiñd raat kā vo jāgnā
jugnuoñ ko bhuul jā titliyoñ ko bhuul jā
vo hamāre bachpane kī kahānī thī faqat
shāh-zāde bhuul jā rāniyoñ ko bhuul jā
jis meñ jitnā zarf thā us ne vo dikhā diyā
merī baat maan jā talḳhiyoñ ko bhuul jā
'dānish'-e-shikasta-pā ab to vā'izoñ kī sun
mahfiloñ ko bhuul jā sāqiyoñ ko bhuul jā
tu faqat kahani sun hichkiyon ko bhul ja
ashk-bar log gin taliyon ko bhul ja
mausamon ne kya kiya ye kahani chhoD de
barishon ko bhul ja paniyon ko bhul ja
ab zaban mein aa gain luknaten rukawaTen
meri guftugu ki tu narmiyon ko bhul ja
zindagi hai muKHtasar har 'inad chhoD de
KHubiyon ko yaad rakh KHamiyon ko bhul ja
ye chaman tera chaman phul tere phul hain
KHud hi dekh-bhaal kar maliyon ko bhul ja
bhul ja wo din ki nind raat ka wo jagna
jugnuon ko bhul ja titliyon ko bhul ja
wo hamare bachpane ki kahani thi faqat
shah-zade bhul ja raniyon ko bhul ja
jis mein jitna zarf tha us ne wo dikha diya
meri baat man ja talKHiyon ko bhul ja
'danish'-e-shikasta-pa ab to wa'izon ki sun
mahfilon ko bhul ja saqiyon ko bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.