tu farishton mein hai ruswa main gunahgaron ke bich
tu farishton mein hai ruswa main gunahgaron ke bich
Khaliq aashiq Abdullah
MORE BYKhaliq aashiq Abdullah
tū farishtoñ meñ hai rusvā maiñ gunahgāroñ ke biich
donoñ hī bahte haiñ lekin muḳhtalif dhāroñ ke biich
koī sūraj bhī nahīñ chamkā sakā ab tak jise
maiñ huuñ ik aisā hī manzar chand sayyāroñ ke biich
sabza-zār-e-zindagī meñ DhūñDhtā hai kyoñ mujhe
maiñ bhaTaktā phir rahā huuñ zard kohsāroñ ke biich
kitnī bedardī se mujh ko rauñdtī hai ek bhiiḌ
jaise koī shahr ho be-rahm tātāroñ ke biich
duur tak gahre añdhere ke sivā kuchh bhī nahīñ
vaqt aa kar ruk gayā hai aaj kin ġhāroñ ke biich
dekhte ho maiñ libās-e-sang meñ malbūs huuñ
kyoñ liye chalte ho mujh ko barq-raftāroñ ke biich
kaun thā mere sivā jaltī huī poshāk meñ
ek paikar sā nazar aatā thā angāroñ ke biich
roz bah jaatā huuñ maiñ alfāz ke sailāb meñ
aur phir hotā huuñ zāhir chand aḳhbāroñ ke biich
ye ḳhalā meñ uḌne vaale ye bulandī ke marīz
āsmāñ bhī ghir gayā hai kaise bīmāroñ ke biich
dhajjī dhajjī ho rahā thā māhtāb-e-nīm-shab
TukḌe TukḌe ho rahī thī raat kohsāroñ ke biich
tu farishton mein hai ruswa main gunahgaron ke bich
donon hi bahte hain lekin muKHtalif dhaaron ke bich
koi suraj bhi nahin chamka saka ab tak jise
main hun ek aisa hi manzar chand sayyaron ke bich
sabza-zar-e-zindagi mein DhunDhta hai kyon mujhe
main bhaTakta phir raha hun zard kohsaron ke bich
kitni bedardi se mujh ko raundti hai ek bhiD
jaise koi shahr ho be-rahm tataron ke bich
dur tak gahre andhere ke siwa kuchh bhi nahin
waqt aa kar ruk gaya hai aaj kin ghaaron ke bich
dekhte ho main libas-e-sang mein malbus hun
kyon liye chalte ho mujh ko barq-raftaron ke bich
kaun tha mere siwa jalti hui poshak mein
ek paikar sa nazar aata tha angaron ke bich
roz bah jata hun main alfaz ke sailab mein
aur phir hota hun zahir chand aKHbaron ke bich
ye KHala mein uDne wale ye bulandi ke mariz
aasman bhi ghir gaya hai kaise bimaron ke bich
dhajji dhajji ho raha tha mahtab-e-nim-shab
TukDe TukDe ho rahi thi raat kohsaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.