tu guftugu ke shauq mein mujhko niDhaal kar
tū guftugū ke shauq meñ mujh ko niDhāl kar
maiñ kuchh na kah sakūñ mujhe itne savāl kar
dariyā samo.e baiThā thā āñkhoñ ke dasht meñ
jab jab kahā gayā mujhe koī kamāl kar
haare hue hai shaḳhs ko head aur tail kyā
kis ko dikhā rahā hai tū sikka uchhāl kar
juuḌā khulā hai us kā qayāmat hai us pe ye
añgḌā.ī le rahī hai vo bāñheñ nikāl kar
vāfar jo mil gayā thā so tū ne kiyā hai ḳharch
rakkhā nahīñ gayā kahīñ mujh ko sañbhāl kar
mujh ko 'muqīm' rahne do pīchhe hī ab mire
chaltā nahīñ huuñ aage maiñ kuchh dekh-bhāl kar
tu guftugu ke shauq mein mujh ko niDhaal kar
main kuchh na kah sakun mujhe itne sawal kar
dariya samoe baiTha tha aankhon ke dasht mein
jab jab kaha gaya mujhe koi kamal kar
haare hue hai shaKHs ko head aur tail kya
kis ko dikha raha hai tu sikka uchhaal kar
juDa khula hai us ka qayamat hai us pe ye
angDai le rahi hai wo banhen nikal kar
wafar jo mil gaya tha so tu ne kiya hai KHarch
rakkha nahin gaya kahin mujh ko sanbhaal kar
mujh ko 'muqim' rahne do pichhe hi ab mere
chalta nahin hun aage main kuchh dekh-bhaal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.