tu hawa ke hath pe chahaton ka diya jalane ki zid na kar
tu hawa ke hath pe chahaton ka diya jalane ki zid na kar
Shahbaz Nayyar
MORE BYShahbaz Nayyar
tū havā ke haath pe chāhatoñ kā diyā jalāne kī zid na kar
ye udaas logoñ kā shahr hai yahāñ muskurāne kī zid na kar
maiñ huuñ dostoñ kā Dasā huā mirā ġham hai had se baḌhā huā
maiñ shikasta ghar kī misāl huuñ mire paas aane kī zid na kar
maiñ tirī ġhazal to nahīñ huuñ nā jo har ek lab pe sajā rahūñ
maiñ to ek misra-e-dard huuñ mujhe gungunāne kī zid na kar
abhī lauT aa abhī vaqt hai abhī saañs baaqī hai jism meñ
tujhe ilm hai mirī jaañ hai tū mujhe āzmāne kī zid na kar
tu hawa ke hath pe chahaton ka diya jalane ki zid na kar
ye udas logon ka shahr hai yahan muskurane ki zid na kar
main hun doston ka Dasa hua mera gham hai had se baDha hua
main shikasta ghar ki misal hun mere pas aane ki zid na kar
main teri ghazal to nahin hun na jo har ek lab pe saja rahun
main to ek misra-e-dard hun mujhe gungunane ki zid na kar
abhi lauT aa abhi waqt hai abhi sans baqi hai jism mein
tujhe ilm hai meri jaan hai tu mujhe aazmane ki zid na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.