Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu hi bata de jamal-e-mani tera karen intizar kab tak

Ehsas Muradabadi

tu hi bata de jamal-e-mani tera karen intizar kab tak

Ehsas Muradabadi

MORE BYEhsas Muradabadi

    batā de jamāl-e-ma.anī tirā kareñ intizār kab tak

    hayāt e'tibār ho bhī nigāh e'tibār kab tak

    jahān-e-zulm-o-jafā ke mālik koī na ho ashk-bār kab tak

    jo dil majbūr ho chukā ho to aañkh par iḳhtiyār kab tak

    mileñge dāman se aa ke āḳhir mire garebāñ ke taar kab tak

    koī batā.e ki ho sakegā mirā junūñ puḳhta-kār kab tak

    jo kisī ne bhī purshish-e-ġham to chashm-e-majbūr ho ga.ī nam

    magar dil-e-zabt-āzmā ke bayān meñ iḳhtisār kab tak

    vo bād-e-sar-sar be-qarārī vo bijliyāñ aur vo sho.ala-bārī

    bas ab qafas meñ mutma.in huuñ nazar ko shauq-e-bahār kab tak

    ḳhizāñ ke be-kaif daur bhī mire garebāñ ye kuchh to haq hai

    junūñ ko āḳhir banā.e rakkhūñ niyāz-mand-e-bahār kab tak

    qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar meñ haram manzar

    tajalliyāñ to haiñ ye āḳhir ba-qaid-e-dīdār-e-yār kab tak

    tu hi bata de jamal-e-mani tera karen intizar kab tak

    hayat ka e'tibar ho bhi nigah ka e'tibar kab tak

    jahan-e-zulm-o-jafa ke malik koi na ho ashk-bar kab tak

    jo dil hi majbur ho chuka ho to aankh par iKHtiyar kab tak

    milenge daman se aa ke aaKHir mere gareban ke tar kab tak

    koi batae ki ho sakega mera junun puKHta-kar kab tak

    jo ki kisi ne bhi purshish-e-gham to chashm-e-majbur ho gai nam

    magar dil-e-zabt-azma ke bayan mein iKHtisar kab tak

    wo baad-e-sar-sar ki be-qarari wo bijliyan aur wo shoala-bari

    bas ab qafas hi mein mutmain hun nazar ko shauq-e-bahaar kab tak

    KHizan ke be-kaif daur ka bhi mere gareban ye kuchh to haq hai

    junun ko aaKHir banae rakkhun niyaz-mand-e-bahaar kab tak

    qadam qadam par sanam-kada hai nazar nazar mein haram ka manzar

    tajalliyan hi to hain ye aaKHir ba-qaid-e-didar-e-yar kab tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now