tu hi bata mere hamdam ye kaise mumkin hai
tū hī batā mire hamdam ye kaise mumkin hai
karūñ na qadr-e-chaman pās-e-ḳhār-zār karūñ
hayāt maut se har haal meñ jab afzal hai
to inqalāb kī rah kyoñ na iḳhtiyār karūñ
bashar jab apne muqaddar kā aap mālik hai
to kyoñ na qahr-e-ḳhudā hī ko sharmsār karūñ
kiyā hai ḳhvār mujhe jis samāj ne us par
palaT ke maiñ bhī na kyoñ teġh-e-fan se vaar karūñ
nihāñ ho jis ke añdhere meñ sub.h kī koñpal
maiñ aisī raat se jī bhar ke kyoñ na pyaar karūñ
hai azm-e-zīst jab iqdām-e-ḳhud-kushī se hasīñ
to kyoñ na aise irāde maiñ bār-bār karūñ
tu hi bata mere hamdam ye kaise mumkin hai
karun na qadr-e-chaman pas-e-KHar-zar karun
hayat maut se har haal mein jab afzal hai
to inqalab ki rah kyon na iKHtiyar karun
bashar jab apne muqaddar ka aap malik hai
to kyon na qahr-e-KHuda hi ko sharmsar karun
kiya hai KHwar mujhe jis samaj ne us par
palaT ke main bhi na kyon tegh-e-fan se war karun
nihan ho jis ke andhere mein subh ki konpal
main aisi raat se ji bhar ke kyon na pyar karun
hai azm-e-zist jab iqdam-e-KHud-kushi se hasin
to kyon na aise irade main bar-bar karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.