tu hi yusuf ki tarah bikne ko tayyar nahin
tū hī yūsuf kī tarah bikne ko tayyār nahīñ
varna duniyā meñ kahāñ misr kā bāzār nahīñ
DhūñDhtā kyoñ hai hisāroñ meñ muqayyad ho kar
maiñ vahāñ huuñ jahāñ koī dar-o-dīvār nahīñ
aaj kis samt se āvāz-e-anal-haq aa.ī
koī mansūr-sifat bhī to sar-e-dār nahīñ
sar kaTā saktā huuñ maiñ sar ko jhukā.ūñ kaise
mirī talvār girī hai mirā me'yār nahīñ
'shauq' jāoge kahāñ le ke shikasta dil ko
koī TuuTe hue sāġhar kā talab-gār nahīñ
tu hi yusuf ki tarah bikne ko tayyar nahin
warna duniya mein kahan misr ka bazar nahin
DhunDhta kyon hai hisaron mein muqayyad ho kar
main wahan hun jahan koi dar-o-diwar nahin
aaj kis samt se aawaz-e-anal-haq aai
koi mansur-sifat bhi to sar-e-dar nahin
sar kaTa sakta hun main sar ko jhukaun kaise
meri talwar giri hai mera me'yar nahin
'shauq' jaoge kahan le ke shikasta dil ko
koi TuTe hue saghar ka talab-gar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.