tu ek dua hai teri justuju zaruri hai
tū ik duā hai tirī justujū zarūrī hai
koī javāz nahīñ phir bhī tū zarūrī hai
haañ kashmakash se haiñ āzād mere sab ehsās
yahī hai sach ki tirī aarzū zarūrī hai
kuchh aise farz haiñ jin kī qazā nahīñ hotī
mire liye to vo nekī hai jo zarūrī hai
maiñ saare lafzoñ ko har zāviye se sochā karūñ
ḳhayāl meñ hī sahī guftugū zarūrī hai
hai tere hone se ehsās mere hone kā
ye dil kī zid hai ki tū rū-ba-rū zarūrī hai
tū merī tīra-shabī meñ hai raushnī kī tarah
tū ek jā hī nahīñ kū-ba-kū zarūrī hai
tu ek dua hai teri justuju zaruri hai
koi jawaz nahin phir bhi tu zaruri hai
han kashmakash se hain aazad mere sab ehsas
yahi hai sach ki teri aarzu zaruri hai
kuchh aise farz hain jin ki qaza nahin hoti
mere liye to wo neki hai jo zaruri hai
main sare lafzon ko har zawiye se socha karun
KHayal mein hi sahi guftugu zaruri hai
hai tere hone se ehsas mere hone ka
ye dil ki zid hai ki tu ru-ba-ru zaruri hai
tu meri tira-shabi mein hai raushni ki tarah
tu ek ja hi nahin ku-ba-ku zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.