tu is gharib ka kya iztirab jaanta hai
tu is gharib ka kya iztirab jaanta hai
Mukarram Husain Awan Zamzam
MORE BYMukarram Husain Awan Zamzam
tū is ġharīb kā kyā iztirāb jāntā hai
navā-e-dasht ko bhī jo sarāb jāntā hai
amīr-e-shahr tumhārī ghaḌī ke nirḳh se kyā
ġharīb-e-shahr to sau tak hisāb jāntā hai
hamārā rabt hai hur ke qabīle se yaaro
charāġh bujhne ko jo inqalāb jāntā hai
kisī basīt musībat kā ye tadāruk hai
jise shikāyatī mohlik 'azāb jāntā hai
asiir zehn kī ġhurbat mulāhiza kiije
amiir shaḳhs ko aalī janāb jāntā hai
ye kotvāl kī āñkhoñ meñ kyā ḳhalal hai janāb
hamārī aañkh kī surḳhī ko naab jāntā hai
ye rāh-e-'ishq hai is ke safar meñ hijrāñ hai
vahī uThā.e qadam jo nisāb jāntā hai
najaf ke vaalī kī hikmat ‘azīm hai 'zamzam'
savāl karne se pahle javāb jāntā hai
tu is gharib ka kya iztirab jaanta hai
nawa-e-dasht ko bhi jo sarab jaanta hai
amir-e-shahr tumhaari ghaDi ke nirKH se kya
gharib-e-shahr to sau tak hisab jaanta hai
hamara rabt hai hur ke qabile se yaro
charagh bujhne ko jo inqalab jaanta hai
kisi basit musibat ka ye tadaruk hai
jise shikayati mohlik 'azab jaanta hai
asir zehn ki ghurbat mulahiza kije
amir shaKHs ko aali janab jaanta hai
ye kotwal ki aankhon mein kya KHalal hai janab
hamari aankh ki surKHi ko nab jaanta hai
ye rah-e-'ishq hai is ke safar mein hijran hai
wahi uThae qadam jo nisab jaanta hai
najaf ke wali ki hikmat ‘azim hai 'zamzam'
sawal karne se pahle jawab jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.